Blogger Blog Post Kaise Create Krte Hai [Full Information]
Hey, Friends aaj ki post me blogger post kaise likhte hai ke bare me apni jankari share krne ja raha hu. Vaise to aap ko youtube per bahut sari information milti hai lekin website ki tulna ma youtube per kisi bhi cheej ke bare me orignalty nahi batai jati. website me jo bhi post likhi jati hai vo 100% pure hoti hai, isliye aasha krta hu ki post aap website se hi read kre.
Old blogger post kaise likhte hai or new beginner youtube post kaise likhte hai. Agar hum old blogger ki baat kre to hum aapko bta de ki unka experience bahut hota hai and unki website pahale se ranked hoti hai jisse unki post ranking bahut hi low time me ho jati hai. Iske sath hi sath old blogger ka youtube channel bhi hota hai jiski vajaha se bahut sare visitor waha se visit krte hai.
Aapne Abhi ek new youtuber “Technology Tips Isrial ” ka Naam suna hoga.Inki website ki Alexa rank 1,38,000 ke lagbhag reach ho huki hai,iska karan youtube hai kyoki ve apni videos me visitor ko apni website per visit krne ke liye batate the.
# |
First |
|
|
1 |
Blog Post Title |
|
|
2. |
Blog Post Body |
|
|
3. |
Blog Post Properties Ready Photos |
|
|
4. Blog Post-Internal Link
5. Blog Post Label/Tags
Blogger Blog Post Banane ke upay
SEO Ready post krne ke liye aapko kuch tips follow krne hoge. In saare step agar aap follow krte hai to aapko blogging me success milegi. Agar aap jindgi me kuch krna chahte hai to kuch mehanat and money invest krna hoga. Aisa nahi ki aaj post ki or kal rank ho jayegi.
1. Blog Post Title
2. Blog Post Body
3. Blog Post Properties Ready Photos
4. Blog Post-Internal Link
5. Blog Post Label/Tags
6. Blog Post Links
7. Blog Post Search Description
8. Blog Post Custom Robots Tags
9. Blog Post Body Heading
10. Blog Post Body Subheading
1. Blog Post Title
Sabse Pahale hum baat krte hai “Post Title” kya hai and kitne word post title me include kiye jana chaiye. Kyoki agar friends aap low word ya high word title me laga dete hai to aapki post rank nahi kregi. Blog post ko rank krane ke liye aapko saare word (space+word) ko milakar 60 se 68 word hone hi chaiye. Aapko iske beech hi word select krne hai. Lekin aapko aapki jankari ke liye bta de ki wordpress me aisa nahi hai. Wordpres me ek Plugin aata hai uska naam “Yoast Seo” hai. Lekin wordpress me bhi is plugin ke liye paise dene padte hai. But aap is plugin ka labh free me blogger ke liye utha shakte hai. Iski madad se aapko article rank me kaffi madad milegi.agar aapko iske bare me pta krna hai to comment kre and notification allow kar le.
Example:-
2. Blog Post Body
Blog post body kya hai? Jab bhi koi visitor blog per aata hai and koi bhi post read krta hai. Read krne ka palace body hota hai. Agar aap body ko acche se set nahi krenge to aapke aane wale visitor return nahi hoge. Body me koi bhi content likhte samya dhyan rakhe ki post ko acche se koi bhi visitor read kar shake. Body banate time is baat ka dhyan rakhe ki koi bhi paragraphs banaye to uske 4-5 line baad enter krke space de taki visitor tried feel nahi kar shakte. Ho shake to aap topic bna shakte hai isse aapko visitor ko samajne me help hogi. Adhik jankari ke liye aap hamse koi bh swal kar shakte hai.
3. Blog Post Properties Ready Photos
Agar aap apni blog post ko rank krwana chahte hai to jo maine tips batai hai, In sabhi ko aapko apni blog post me include krna hi hoga. Isse aapka blog other blog se uper rank krega. Blog post first page per laane ke liye photos bahut hi impotant hai, Isse aapke blog ki ranking increase hogi.
Photos 2 type ki hoti hai, first google downloaded photos and second self making photos.Isliye aapko self making photos ka hi use krna hai agar aap google ki photos ka use krte hai to vo post rank nahi hogi or baad me aapko copyright mil shakta hai. Aap sabhi ko ek hi advise deta hu ki apni banai hui photo ka hi use kre. Apni banai hui photos ko blog per upload krna hi kaafi nahi hai, kyoki isse aapka blog me upload photo rank nahi hoga.
Photo rank hone se 30% visitor aapke blogger per photos ke dawara hi visit krte hai. Isliye photo rank and blog rank me aapko photos ka seo krna chaiye. Ab photos ka SEO kaise kre iske liye sabse pahle aapke dawara banai hui photo ko blogger me upload kre. Iske baad aapko photo per click krna hai to aapko niche ya uper blue color me kuch text dikhai dege aapko usme se ” Properties” ke option per click krna hai.
Iske baad aapko 2khali option dikhai dege, isme se pahle option me apni blog post ka title dal dena hai and second option me usse realted keyword dal dena hai jaise- god, shiv, mahadev,mahadev aarti. Is prkar but dhyan de ki 5keyword ka hi use kra chaiye.
4. Blog Post-Internal Link
Iske baad baat krte hai ki Internal link kya hai or hum isko blog per kaise include kar shakte ha. Internal link kitne type ke hote hai. Hum aapko aapki jankari ke liye bta de ki yoast seo plugin me bhi iske bare me explain kiya gya hai. Internal link 2 type ke hote hai and in dono link ka blog post me hona bahut hi important hai.
1. Nofollow Link
2. Follow Link
Jab hum koi post create krte hai to us post me kam se kam 4 link ka use jarur krna chaiye. Ab baat kre ki inme se 2 link follow link and 2 nofollow link hone chaiyeye. Friends aap isme kisi ki website ka link nahi de. Isme aap ya to worlds famous blogger ka site link ya government website link de shakte hai and aapko isme apni website ka post url dal shakte hai.
Nofollow link
Ab isme aapko vo url dalna hai ki jaise aapne post paytm per likhi hai or aap isme bina iske related post ka url dal rahe hai to usko nofollow kahate hai. Ab aap isko nofollow kaise kre. Iske liye aapko kiske bare me url hai uska word body me type kre and us word ko “CTRL+A” se select kre. Iske baad aapko upper ki side me link likha hua aayega us per click kre. Jab aap link iclude krenge to aapko uske niche “nofollow” likha hua aayega us per teek kar de. Iske baad aapka link bankar ready ho jayega.
Follow Link
Isme aapko same uper nofollow link ki jaise karna hai. Bus aapko isme nofollow per teek nahi lagana hai.
Blog Post Label/Tags
Aapko pta hi hoga ki label kya hota hai. Label ke dawara google hamari post ko visitor ki searching ke anusar search result me lata hai. Post ko trending me laane me tags ki bahut hi badi bhumika hoti hai. Blogger me Tags ko label bolte hai and Youtube me label ko tags bolte hai.
Beginner kya krte hai ki blog post ke label me low cpc keyword and iske sath hi sath bahut saare keyword laga dete hai. Isse aap sochte hai ki hamari post bahut adhik rank kregi lekin ye sab galat hai. Isse google aapki post ka anumaan nahi laga pata google ko lagta hai ki aap apni post ko dhakka dekar rank krwana chahte hai isse google aapki post ko hamesha ke liye side me dal deta hai. Ab me aapko ye formula bta raha hu isko jarur apnaye.
1. Apni post labels me only 5 keyword ka use krna chaiye, Isse adhik keyword nahi hona chaiye.
2. Low cpc keyword ka use nahi krna chaiye. High cpc keyword ke liye google adword ya Chrome extension keywords everywhere ka use kar shakte hai. Dhyan de ki is per kitna competition and kitni search volume hai. Ranking keyword ke liye high cpc, Low competition and maximumq 100k volume hona chaiye.sara data aapko google adword keyword planner me mil jayega.
3. Keyword ka use aise krna chaiye – SEO ready blogger blog post kaise create kre, How to create blogger blog post, Blogger ke liye blog post kaise banate hai, seo blogger post
Blog Post Links
Jab hum kisi ki bhi post open karte hai to jo uska main post keyword hota hai, wahi blog post ka link hota hai. Humko isko adjustment krna hota hai
Friends aap jab blog post create krte hai to aapko sidebar me “Link” option diya hota hai. Sabse pahle is per click krne ke baad aapko isme autmatic permalink and custom permalink milega. Aapko custom permalink per click krna hai and faltu ke word ko hata de.dhyan de ki aapko – type ka mark dikhai dega usko nahi hatana hai.
pahale:- bloger-seo-ready-blog-post-kaise-create-karte
Now:- seo-ready-blog-post-kaise-create-karte-hai
Blog Post Search Description
Blog post descripition me aapko ekdam simple se batana hai ki post kis bare me hai. Accha rahega aap post ke title ko bhi isme include kar de or hindi and english. Isse aapke english or hindi visitor aapke blogger ki blog post per jarur visit krenge. Description me fix space and word ko milakar 140 se 155 word hone chaiye.
Blog Post Custom Robots Tags
Sidebar me diye is tags ka bhi bahut important use hota hai. Jab aap is option per click krenge to aapke samne bahut sare option aayenge to aapko “all” and “noodp” option per teek kar dena hai. Inke alawa saare option ko unteek kar dena hai. Sari information carefully fill kar deni hai.
Blog Post Body Heading
Friends aapko post me only one heading hona important hai. Heading kaise banaye. Sabse pahle post ke title copy kre and body me paste kre. Iske baad font size ko largest kar de and font design ko apne anusar select kar le. Ab aapko beech me format option dikhai dega isme aapne jo title ko body me copy kiya tha to body ke title ko ” CTRL+A” se select kar le or aapko format heading me select kar le.
Blog Post Body Sub-heading
Sub-heading ko blog ki body me kitne hi baar likha jata hai.aap kis bare me likh rahe hai to aap uska font, font size and format ko subheading kar ke subheading bana shakte hai. Subheading blog post ke liye bahut hi important hai.
Hello aaj ki post aap sabhi ko kaafi pasand aayi hogi.agar aapko fir bhi koi problem hai to blog ko subscribe and notification allow kar de.sath hi sath comment jarur kre.
Read more