Blogger Ke Liye Meta Tag Generate Kaise Kare In Hindi – w3survey
Namaskar, friends aap sabhi ka is fresh article me swagat hai. Is article me hum aapko batane wale hai ki blogger ki website ke liye meta tag kaise generate karte ha. Agar aap blogger website per work krte hai to aapke liye meta tag ke bare me information bahut hi important hai. Agar aap apni website ko search engine me rank karana ki soch rahe hai to aapke post ko rank hone me ye kaafi had tak madad krti hai, jaise ki taali ek hath se nahi bajti hai vaise hi meta tag blogger me include krna bahut hi jaruri hai.
Free Meta Tag Generate For Blogger
Step No.1 Sabse pahle aapko meta tag generate karne ke liye meta tag website per visit krna hai, Iske baad aapko isme niche slide krne per kuch option dikhai dege jinko aako website me niche bataye anusar fill krna hai.
Website Link: MetaTagGenerator
(1.) Iske baad aapko uper image me jaisa dikhai dega, aapko description option ko fill krne ke liye apne blogger me <setting<basic> option me jana hai waha aapko description option dikhai dega to usme impliment keyword ko copy karke isme paste karna hai.
(2.) Second number per aapke keyword option aata hai, Aapko isme dhyan rakhe ki keyword research karke use kre. Iske liye aapko blogger ki setting section me jakar search perfrance per click karne per meta tag me include word ko keyword section me fill kare.
(3.) Third option me aapko Author option aata hai isme aapka name fill up krna hai. isme aap apna naam required nahi hai.
(4.) aapko robots me all option ko default hi rakhna hai. Fir aapko niche diye gaye “create metatag per click krne per niche html me word defined hokar aajyenge.
Ab aapko niche appear huye html word ko photo me jaha se select hai waha se select karke copy kare, Iske baad aapko apne blogger ke theme section me jakar edit html per click krna hai.
Aapko theme section me jakar ctrl+f press karne per side me search bar popup hoga aapko usme <head> fill up karke enter press krne per niche yello background color me <head> text show hoga to aapko <head> ke just niche copy kiye code ko paste kar de.
Ab aapko apne blogger ke save option per click kar deve.