Blogger Me Free Domain Name Kaise Add Karte hai- Hello Friends aak me aapko batane wala hu ki blogger me kya hum free domain ko use kar shakte hai ya nahi. Hum aapko aapki jankari ke liye bata de ki aap blogger ya wordpress me free domain ko use kar shakte hai.
Blogger me free domain name use krne ke benefit and Harm
- Agar aap apne blog me free domain ko use karte hai to aapko adsense se approval nahi mil shakta hai, Kyoki free domain top level domain nahi hai.
- Free domain name ko select krne se aapki website ka size ko small kiya ja shakta hai, isse aapki website ko bahut benefit hoga.
- Free domain name se aap adsense alternate adnetwork ka use karke earning kar shakte hai.
- Free domain name use krne se aapki blogger website ka default domain .blogspot.com hatkar small domain name lag jayega.
Free Domain Name Account Kaise Create karte hai
Namaskar, friends aaj me aapko batane wala hu ki free domain name account kaise create krarte hai. Free domain name create krne ke liye hum freenom website ka use krenge. Freenom website se hum free and paid domain name le shakte hai. Freenom website ek domain name seller platform hai jaha se hum domain name register krenge. Freenom website se domain name lene ke liye humko ek account ko create krna hoga, iske baad hi hum domain name free me blogger ke liye le shakte hai.
- Sabse pahale aapko is website per link per click karke freenom website per visit kre. click here
- Iske baad aapko side me sign in button dikhai dega us per click kre.
- Ab aapko google ya facebook ki help se account create kar lena hai.
Free Domain Name Registration kaise kare
- Sabse pahale Domain name regstration karne ke liye dashboard me aapko beech me apna domain name fill kre and uske baad search button per click kre to iske baad aapke samne bahut sare domain name dikhai dege to aapko free wala select kar lena hai.
- Iske baad free domain ke samne “get it now” Dikhai dega to us per click kre and iske turant baad hi green word me “Checkout” option per click kre.
- Ab aapke samne new window open hogi or isme period 3month ka hoga to isko change karke 12month ka free wala plain select karna hai and iske baad continue button per click kar dena hai. Ab aapka domain name regstration complete ho chuka hai.
Free Domain Name Ko Blogger Me Kaise Add Kare
STEP 1. Sabse pahale aapko freenom ka dashboard dikhai dega to aapko service option per click krna hai to aapko isme kuch niche option show hoge to aapko My Domain Option per click krna hai.
STEP 2. Iske baad aapke samne aapka register kiya hua domain dikhai dega, Ab aapko isme Manage Domain ka option dikhai dega to aap Manage Domain per click kare.
STEP 3. Manage Domain per click krne ke bad new screen open hogi. Iske baad aapko screen me ‘Manage Freenom DNS’ dikhai dega to us per click kre.
STEP 4. Iske baad aapke samne add records option aayega or aapko usme only one hi records option dikhai dega to aapko niche “More Records” per click karke total milakar six records bana le.
STEP 5. Ab aapko apne blog me jana hai and iske baad sidebar me setting>Basic option per jayege to aapko apna blogspot wala url dikhai dega. Us url ke theek niche “add this party domain” likha aayega to us per click kre.
STEP 6. AB aapke samne ek box dikhai dega usme apna domain name dalna hai jo freenom se liya tha. Dhyan rakhe ki url photo me dikhaye anusar dale and iske baad save per click kar de to aapke samne red color meerror aayega and iske theek niche 4 code dikhai denge. Ye code hamare kaam aayenge.
Step 7. Ab aapko sari information niche photo me bataye anusar bhare aapko acche se samaj me aa jayega. SO Friends koi baat samajme nahi aaye to aadesh de comment karke hum aapki help krenge.Namaskar me sathiyo.
Friends aap sabhi ko hamara article kaafi pasand aaya hoga to please comment like share and subscribe kare taki aapko post ki information mil shake.
Realted post