Blogger Me Meta Tags Generate OR Add Kaise kare


Hello, friends me Aaj Meta Tags ke bare me explain krne Ja Raha Hu. Meta Tags Hota kya hai and ye kyo blogger me iska use important hai ya nahi, to friends iski full details pane ke liye post ko read kare.



  Meta Tags Kya Hai?  

1. Meta Tags ko sabse pahle google ki Nazar se dekhte hai ki blogger me setting option me jakar search preferences me meta tags dikhai dega iska matlab iska relation jaroor google and meta tags ke beech kuch relation hai.


2. Meta Tags Google search engine ka ek part hai jisko samajne ke Liye humko simple language and programming coding ke dwara google ko notification send krni hogi jiske dwara google acche article ko category wise setup krega.

3. Meta Tags ka blogger me use karne se website ka 20% SEO complete ho jata hai.


4. Meta tags ko agar simple bhasa me bole to keyword Hota hai, Isme agar aap post jis topic per post ko writes kar Rahe hai usse related SEO keyword ka use krna Hota Hai.
5. Jis type youtube ki video Tags ke Anusara suggestion videos ki family me show hoti hai theek vaise hi meta tags se post google search me show hogi and page/post rank kregi.


  Setup Blog For Meta Tags  


Meta tags generate karne se pahle  blogger me meta tags generate karne ke liye setup karna bahut hi important hai. Blogger me setup kiye bina meta tags generate nahi kar shakte hai.

setup karne ke liye step follow kare-

A. Sabse pahle blogger me login karke setting option me and search preferences me click Karna hai. Search Preferences par click krne par first option “Meta Tags Description” ka aayega.


B. Aapko meta tags description me aapko apne blog kis topic se related hai usme aap kis category ki post dalte hai usse related topic dalna hai.

c. Agar aapko keyword ke bare me jankari nahi hai to aapko google par search karna hai ” keyword research tool” to aapko bahut saare tool milenge to free tool select karke keyword find kar shakte hai jo bhi aapka topic hai usse related.

D. aap apne blogger ke Meta Tags description me maximum 150character fill kar shakte hai or adhik use karne par save nahi hoga.
word count karne ke liye aap is website par visit karke word paste karne par word count ho Jayenge.

Maximum character: 150

WEBSITE: CLICK HERE FOR WORD COUNT

E. Iske baad jo aapne neta tags me fill kiya hai to inko copy karke Setting<Basic me jakar description me paste karna hai.


   Blogger Me Meta Tags Generate Kaise kare   


Meta Tags Kaise generate karte hai? ya bole to “How to generate meta tags for blogger” in English. Meta TAGS Generate karna vaise to bahut hi simple hai lekin agar aap begineer hai to aapko saare kaam bahut hi alert hokar krna hoga kyoki alert nah hoge to ek galti website rankko khatam kar degi.

Meta tags generate karne ke saare step niche hai please alert hokar work kare-

Step Number 1. Sabse pahle meta tags generate karne ke liye niche batayi gayi website link per click karke visit karna hoga.


WEBSITE: CLICK HERE FOR GENERATE META TAGS

Step Number 2. Iske baad aapke samne website open ho jayegi to aapko niche scroll karna hai and ek form dikhai dega usme aapko blogger Setting<Basic description hai usko yaha paste kar dena hai.


Step Number 3. Ab aapke samne second option me “Keywords” option dikhai dikhai dega to aapko apne blogger ke meta tags keywords ko yaha paste kar dena hai.

Step Number 3. Iske baad aapko 2option bhi dikhai dege lekin inko vaise ke vaise hi rakhna hai and create metatags par click karna hai to aapko niche kuch coding visible hogi.

Step Number 4. Iske baad aapko meta tags generates kiye tha to usme upper wali line ko chodkar niche ki full code copy kar Lena hai. Meta tags me ye line dikhai degi to isko chodkar sab ko copy Karna Hai.

line Don,t copy: Copy the codes below and insert them just below Google and Yahoo verification codes below <head> Tag.

free meta tags generator tool,meta tags kya hai,blogger me meta tags generate kaise kare,meta tags error on blogger,how to setup meta tags on blogger


Step Number 5. Iske baad aapko apne blogger ke theme section me jakar edit theme par process krna hai and ctrl+f press karna hai. Aisa karne par side me search bar open hoga to usme <head> fill karke enter hit karna hai. Ab aapko yellow color me <head> show hoga to aapne jo code copy kiya tha usko <head> ke theek niche paste karna hai.

EXAMPLE: <head>
                Paste meta tags
                …………………


  Meta Tags Error  

1. Meta Tags Description me 150 characters se adhik use nahi karna hai.
2. Is method ke alawa dusri website meta tags use karne par error show hoga 100% agar viswas nahi hai to just try to it.

3. Ye post only Blogger user ke liye banayi gayi hai.

4. Meta tags me keyword use karte time keyword khatam hote hi ” , ” ka use karna hai.

Example: latest job,admit card,result,bser result,cbse result,rajasthan police admit card,online apply


 Read More: 







1 thought on “Blogger Me Meta Tags Generate OR Add Kaise kare”

Leave a Comment