Save Whtsapp for Hack – Two Step Authentication

Two Step Authentication:- Hello, friends kya aapko pta hai- two step authentication kya hota hai. Agar aapko iske bare nahi pta hai and ye kis kaam me aata hai to is post ko full read kijiye.
two step authentication ka use jab aap kisi bhi popular ya trusted website jaise godaddy, bigrock,whatsapp and other me apna account banate hai to account ki safty ke liye iska use kiya ja shakta hai. two step authentication ko feature system ko on/allow karne per koi bhi hacker/other person account ko access nahi kar shakte hai. 



Jab agar hacker/other people ko hamara password pta lag jata hai tabh bhi account ko access nahi kar shakta hai, kyoki jab hum apne account ko access karte hai to password fill karke login karne per hamare samne ek code box open ho jata hai. Iske baad me jis number se aapne regstration kiya tha us number per 6-8 number ka code recieved hota hai us code ko humko box me fill karke submit karna padta hai. Iske baad hi hum hamare account ko access kar shakte hai.

Two step Authentication Kyo Important hai

Kya aap ye soch rahe hai ki mere liye ” Two step authentication” kyo jaruri hai ya aap soch rahe hai ki mera phone/pc hamesa mere pas rahata hai. Mera deta kabhi chori ya hack ho hi nahi shakta hai.

Friends ye jaruri nahi ki aapka phone kisi other person ke hath me jaye tabhi aapka data hack hone ka khatra ho. Aajkal aapne newspaper ya internet per bahut se aise case samne aaye hoge jo hacking se realted ho. Friends hum aapko jankari ke liye bata de ki hacker jo hote hai ve hacking me expert hone ke tarike dundte rahate hai. Aaj kal ke time me koi bhi cheej impossible nahi hai, Isliye humko her kadam puck-puck kar rakhna chaiye.

Aadmi ka pal-pal ki gaurentee nahi hai ki kab konsi cheej hack ho jaye. Abhi kuch aisa hi mamala samne aaya tha jisse whatsapp ko hack kar liya gaya tha lekin fir whatsapp ne is mamle ko dekhte huye security bada di.
Dhayan rakhe ki humko kisi bhi dusre person ke mobile me private data open nahi karna chaiye kyoki internet per aise app/software hote hai jo user data ko read kar lete hai and store kar lete hai.

Whatsapp Two step authentication kya hai

Jaisa ki aapko bataya gaya hai ki iski madad se hum apne whatsapp ko secure rakh shakte hai. Whasapp Two step authentication me humko whatsapp ki security ke liye jab hum returen device se whatsapp per login karte hai to humko otp recieved hota hai to humko usko fill karke account login kar shakte hai.

Whatsapp Two Step Authentication kaise enable kre

Step 1. Sabse pahle aapko apna whatsapp open kre. Iske baad side bar me 3DOT per click krne per setting option dikhai dega to setting option per click kre.

save, whatsapp, hack, save whatsapp for hack


Step 2. Iske baad aapko Account option per clik karna hai.


whatsapp 2 step verification
Step 3. Ab aapko isme TWO-STEP-VERIFICATION/Two STEP AUTHENTICATION dikhai dega to us per click kre.

account, chats,notification, Invote a friends, friends


Step 4. Aapko isme niche green color buton me enable dikhai dega to us per click kre. Iske baad aapke samne pin number dalne ka option aayega to aap 6digint pin number enter kre. Aapko isme 2 baar pin number lagana hai same pin and next kar de.

2 step authetication


Step 5. Ab aapko isme apna email dalna hai, Jisse agar aap kabhi password bhul jate ho to reset kar shakte ho.

Friends aaj ka hamara post aapko bahut pasand aaya hoga aapko isme apna sara solution mil gaya hoga.Please agar aapke pas time hai to apna kimti vaqt jaya karke comment ka subscribe kre. Jisse aapko post ki notification sabse pahale mil shake. 

Leave a Comment